Wednesday 10 January 2018

Kahani-Prematma

Suhani aaj phir se khud ko pavitra mahsoos kar rahi thi.Atma or mun shant har saans poori or nai.Mummy ne bachpan me sekhaya thha har saans ke sath bhagvaan ka naam lena hai.Koshish karti raho tum dekhogi koi power tumahre saath hai or tumhari sahayta kar rahi hai.Bhagvaan ke sabhi naam pavitra hain jo bhi pasand aaye usi ka jaap karo.Ram ka naam aasan laga vo hi jaap shuru kar diya.Kuchh din me pata chala ab jaap karna nahin padta ,ab ye to apne aap mun me chalna shuru ho gaya ,.achha laga ek kaam or kum ho gaya.Mun me ek rajkumaar  bhi darshan deta rahta thha .Kuchh samay uske saathh guzarna bhi achha lagta thha sahi time paas ho raha thha.college jana,kuchh kaam ghar ka karna or kuchh time friends ke sathh.Kuchh din me ek nai ghatna ghati,ab ye mun kisi or ka jaap karne laga 'Anirudh'.Shayad Suhani ko Anirudh se pyar ho gaya thha ,lekin Anirudh ki aankhen koi or hi sunder chehrey ko dhoond rahi thhi isliye use disturb karna nahi chaha .Samey ane par Suhaani ki shaadi Ketan ke sathh ho gai.Kuchh achhi se ummeeden khatm hone lagi jab pata chala Suhani ko sirf istemaal kiya ja raha thha.Suhani ki khushi jaroorten sab bemaani thhi Ketan ke liye.Ghutan honey lagi is rishtey se .Socha bachha jo unke jeevan me aane vala hai shayad vohi koi khushi or ummeed le kar aayega Suhani ke jeevan me.Vo aaya nahi aai mere jeevan me khushi ke saath saath ek kartvya bhi lai -Use bada karna or use khushian dena .Ketan apne jeevan me busy thha use dunia jeetni thhi ,Suhani or uski beti ko khushian batorni thhi.Independent banene ke liye bahut sari mehnat karni thhi our khush bhi rehna thha.Ketan se Suhani ko koi ummeed nahi thhi. Ab sapno me jo rajkumar thha use naam bhi mil gaya thha 'Aniruddh',.aatma phir se use yaad karke apna samay guzaar rahi thhi,shareer ko kaam karne se hi phursat nahi thhi.

Tuesday 2 January 2018

Life is a struggle.

Do you want to win this war in mind and heart?
Start cleaning your heart and brain if they are filled with
Kam ,krodh ,lobh,moh ,ahankaar.
It means you are suppose to take out lust ,wishes ,greed,arrogance,anger from your brains.
On the way you will find yourself.
Your self is a small part of param pita parmatma (god)
It is a very tough.
If you have guts then you can take this challenge .
It is the biggest degree to know your self.
Otherwise keep on solving small problems and keep on winning small fights .