Thursday 21 June 2018

Satye kahoon

Jo socho vo kabhi hota nahin.Jo hota hai vo to socha hi nahin.
Ye sansaar sach nahin.Yahan boore log achhe hone ka natak karte hain
Our achhe log boore hone ka natak karte hain ,Bevkoof log samajhdaar hone ka natak karte hain,Samajhdaar log bevkoof hone ka natak karte hain.,jab tak samajh aati hai tab tak jeevan samapt ho chuka hota hai.
Palne vali our marne vali do shaktian shatranj khel rahi hain,achhe log our boore log unki sena hai,ye shatranj ki bazi na khatm hui hai our na hogi.
Kuchh log jo in shaktion ko pahchaan chuke hain, our ladai se thhak chuke vo chup chap is ladai ko dekhtey hain.Ye sansaar ek natak ka manch hai jahan patra aa kar aapna role ada karte hain,our chale jaate hain.

Monday 18 June 2018

Kahani-samrajya kiska

Kaam, krodh,lobh,moh,ahankaar pancho svaym  ko balshaali sabit karne ke lie ladne lagey.Krodh bola saare sansaar me mera hi smrajya hona chahiye.Isme koi,sanshey nahi mai hi uttam hun.Lobh ne kaha kahin ladte ladte hum ek dusre ko maar hi na den .Atha hum Krishna bhugvaan se miley or unse upni samasya ka samadhaan poocheyen.Krishn ke pas gaye.Krishn ko apni samasya batai.Krishn ne kaha poori manushey jati par aap panchon ka hi rajya hai.Brahmin me ahankaar ki adhikta, ksatriya me krodh ki adhikta,vaishey smaaj me lobh ki adhikta,.Jo tum paancho ko tyag kar meri sharan me aajaye keval vahi kalyan ko prapt hoga.Sukh shanti ko prapt karne ke liye gyan usi ko prapt hoga.

Friday 8 June 2018

Kahani-Sangharsh ya kshama

Soniya-Dadi ,mai unhe saja dilana chahti hun.Main upmaan ke ghoont pi kar ,chup rahna nahi chahti.Main vah sab paisa unse vapis chahti hun jo mere mummy papa ne meri shaadi par kharch kia.
Dadi-Apne jeevan ko sangharsh mat banao.Kshama kar do un logon ko.Isliye nahi ki ,vo kshama prapti ke layak  hain.Apitu isliye ki jo puney apki unati me lagne hai ,vo waste ho jaenge ladai jhagde me.Daan kar do uney vo paisa, jo tumahre mata pita ne tumahri shadi par lagaya.Vishvaas rakho bhagvaan par samay aane  par ,unko saja dega ,tumeh dhokha dene ke lie.Apne jivan ki nai shuruat karo.Apne lie job dekho or usme mast ho jao. Bhool jaogi samay ke saath sab kuchh.
Sonia -Dadi,private schools me bahut kam paise dete hain ,dil nahi karta vahan job karne ka.
Dadi-Jo tumahra huk, tumeh nahin dena chahte, uneh paiso ki bahut jaroorat hai .Man se uneh vo paise daan kar do ,jo unohne tumeh nahi diya .Sukh se jeene ke liye paisa kum chahiye bhagvaan par vishvaas jyada chahiye.Ye sansaar ek school hai ,yahan hum gyan prapti ke lie aaye hain.Jaise hi aatm sakshatkar ko prapt ho jaenge hamen is manav jeevan se mukti mil jaygi.Uskee prapti ke lie koshish karo.