Friday 1 March 2019

Kahani -Satyam Shivam Sundaram

Ek kisan ki patni teen betian uski godi me chhod kar mar gai.Teeno betion ka naam Satyam,Shivam or Sondarya thha.Kisan ne bade pyar ke saath teeno betion ko bada kia.Vah teeno betion ki shadi karna chahta tha lekin uske paas shadi ke lie paise nahin they.Vah bhagvaan se roz sahayta ke lie prarthna karta tha.Ek din subah bhagvaan ne uske sapne me aa kar kaha -koi bhi tumhari beti se shadi karna chahe to mana kar dena ,kyonki tumhara damad rajya ka rajkumar hoga.Satya bahut gyani thhi,Shiva bahut shakti shali thhi,Sondarya bahut sunder thhi.Ek sainik ki nazar Sondarya par padi,Vah kisan ke ghar aaya or uski beti Sondarya se shadi karne ki ichha prakat ki.Kisan ne mana kar diya .Sainik ko bahut gussa aaya.Sainik ne kaha- budhe kisan ,mai tumhe maar dunga agar tumne mana kia.Kisan ne kaha mujhe shadi ki tyari ke lie do din ka samay do.Sainik ne kaha -mai do din baad tumhre ghar aaonga or vah chala gya.Kisan apni teeno betion ko le kar raja ke darbaar me nyay mangne gyaa.Kisan ne sainik ki shikayat raja ke darbaar me ki.
Raja van bhraman par gya thha uski jagah rajkumar  rajya ka karyabhar sambhal raha thha.Rajkumar ne jab Sondarya ko dekha to vah us par mohit ho gya.Usne kisan se puchha tum apni beti ki shadi kis se karna chahte ho.Kisan ne kaha "Mai apni beti ki shadi usse karna chahta hoon jo meri baki dono betion ki shadi bhi achhe ladkon se karva de.Mere paas unki shadi ke lie paise nahi hain.Rajkumar ne Satyam  or Shivam ki shadi ki jimedaari le kar Sondarya se shadi ki.Kisaan ne bhagvan  ka dhanyavad kia or apni dono betion ko khushi khushi vida kia.