Wednesday, 21 November 2018
Wednesday, 10 October 2018
Gyan daan
Shri Krishn ne gita me gyan daan kia.Gyan daan se hi manushya samaj unnat ho sakta hai.Agyanta bhi kafi had tak manushya ke kasht ka karan hai.Chhoti umra me bachey rote hain khillone ke lie ,badi umr me rote hain paise ke lie ya job ke lie.Koi rota hai prem ke lie or koi rota hai samman ke lie.Is baat se samjhie ki kisi ko isliye maar dia jaata hai kyunki uske paas kaphi paisa tha ,jo paisa sukh prapt karne ke lie tha uski vajah se uski mrityu ho gai .To aisa to nahi kaha ja sakta ki paisa sukh hi dega.Keval bhagvaan ki kripa hi sukh de sakti hai or kisi vastu mai sukh dene ki shramta nahi hai .Bhagvaan ki kripa prapt kaise karen ...Gita me bhagvaan ki no prakar ki bhakti kahi hai ,sbse asaan hai unke koi bhi naam ka jap. chalte ,utthtey baittey jub bhi ban padey.
Saturday, 6 October 2018
Kahani-Tumhari khushi
To tum chahte ho tumhari khushi ke lie mai apna jeevan kurbaan kar doon. To tumhe lagta hai tumhari khushi hi jyada jaroori hai,kabhi tumhare parents ki khushi ,kabhi tumhare relatives ki khushi,kabhi tumhare friends ki khushi,or meri khushi ka kya?Bus bahut hua, ab mai sirf apni khushi ke bare me sochungi.Kya tum jante bhi ho mai dusron ko raji karte karte thak chuki hun."Sneha ,agar shadi par jaana jaroori nahi hota to mai nahi kahta" Mayank ne samjhaya.
Sneha -"Jana jaroori hai to jao ,koi bahana bana dena mere bare mei."
Mayank-"Social service samajh kar hi chalo at least."
Sneha-"Social service apni marzi se ki jati hai, dusron ki marzi se nahi".Mayank-"Mai bhi kahan jana chahta hun,bus isliye jata hun ki hamari beti shadi mei koun aaega agar hum nahi jayege to."
Sneha -" Kal kisne dekha hai,Kal ke lie aaj ko kharab karna ,mujhey samjh nahi aata."
Mayank-"Aaj me jio,mai khud hi kahta to hoo lekin mera dhyan kal me hi
rahta hai.Kash meri soch bhi tumhare jaisi hoti".
Sneha-"Bade aaram se bol rahe ho, tumhe gussa nahi aaya ,hamesha ki tarah."
Mayank-"Tumeh naraz karke mai bhi khush to at least nahi rah pata"
Sneha-"Mai tumhe ek buri aatma samajhne lagi thi."
Mayank-"Vo to kher mai hun,mujhey lagta bahut taklif di hai tumhen ab tumhe tumhare hak ki khushi dena chahta hun.Mai Meenal se shadi karna chahta hun.Mujhey abhi jeevan se bahut kuchh chahiy."
Saturday, 28 July 2018
Puneyatma papatma
Punyatma or papatma isi dhara par hain.Prabhu kripa se hi hum kisi atma se milte hain.Hamare paap hi hamey papy atmaon se milate hain.Lalach kaam krodh hamey paapy ki sharan me le kar jaate hain.Yadi hum paap or papy se door rahna chahtey hain to kaam krodh lobh moh ahankaar se door rahen or bhagvan ko kisi bhi naam se yaad rakhen, man me shanti ka samrajye hoga.Jisne kam ,krodh lobh moh ahankaar naam ki garam salakhon ko pakad rakha vo sukhi ya shant kaise ho sakta hai.
Thursday, 21 June 2018
Satye kahoon
Jo socho vo kabhi hota nahin.Jo hota hai vo to socha hi nahin.
Ye sansaar sach nahin.Yahan boore log achhe hone ka natak karte hain
Our achhe log boore hone ka natak karte hain ,Bevkoof log samajhdaar hone ka natak karte hain,Samajhdaar log bevkoof hone ka natak karte hain.,jab tak samajh aati hai tab tak jeevan samapt ho chuka hota hai.
Palne vali our marne vali do shaktian shatranj khel rahi hain,achhe log our boore log unki sena hai,ye shatranj ki bazi na khatm hui hai our na hogi.
Kuchh log jo in shaktion ko pahchaan chuke hain, our ladai se thhak chuke vo chup chap is ladai ko dekhtey hain.Ye sansaar ek natak ka manch hai jahan patra aa kar aapna role ada karte hain,our chale jaate hain.
Monday, 18 June 2018
Kahani-samrajya kiska
Kaam, krodh,lobh,moh,ahankaar pancho svaym ko balshaali sabit karne ke lie ladne lagey.Krodh bola saare sansaar me mera hi smrajya hona chahiye.Isme koi,sanshey nahi mai hi uttam hun.Lobh ne kaha kahin ladte ladte hum ek dusre ko maar hi na den .Atha hum Krishna bhugvaan se miley or unse upni samasya ka samadhaan poocheyen.Krishn ke pas gaye.Krishn ko apni samasya batai.Krishn ne kaha poori manushey jati par aap panchon ka hi rajya hai.Brahmin me ahankaar ki adhikta, ksatriya me krodh ki adhikta,vaishey smaaj me lobh ki adhikta,.Jo tum paancho ko tyag kar meri sharan me aajaye keval vahi kalyan ko prapt hoga.Sukh shanti ko prapt karne ke liye gyan usi ko prapt hoga.
Friday, 8 June 2018
Kahani-Sangharsh ya kshama
Soniya-Dadi ,mai unhe saja dilana chahti hun.Main upmaan ke ghoont pi kar ,chup rahna nahi chahti.Main vah sab paisa unse vapis chahti hun jo mere mummy papa ne meri shaadi par kharch kia.
Dadi-Apne jeevan ko sangharsh mat banao.Kshama kar do un logon ko.Isliye nahi ki ,vo kshama prapti ke layak hain.Apitu isliye ki jo puney apki unati me lagne hai ,vo waste ho jaenge ladai jhagde me.Daan kar do uney vo paisa, jo tumahre mata pita ne tumahri shadi par lagaya.Vishvaas rakho bhagvaan par samay aane par ,unko saja dega ,tumeh dhokha dene ke lie.Apne jivan ki nai shuruat karo.Apne lie job dekho or usme mast ho jao. Bhool jaogi samay ke saath sab kuchh.
Sonia -Dadi,private schools me bahut kam paise dete hain ,dil nahi karta vahan job karne ka.
Dadi-Jo tumahra huk, tumeh nahin dena chahte, uneh paiso ki bahut jaroorat hai .Man se uneh vo paise daan kar do ,jo unohne tumeh nahi diya .Sukh se jeene ke liye paisa kum chahiye bhagvaan par vishvaas jyada chahiye.Ye sansaar ek school hai ,yahan hum gyan prapti ke lie aaye hain.Jaise hi aatm sakshatkar ko prapt ho jaenge hamen is manav jeevan se mukti mil jaygi.Uskee prapti ke lie koshish karo.
Wednesday, 10 January 2018
Kahani-Prematma
Suhani aaj phir se khud ko pavitra mahsoos kar rahi thi.Atma or mun shant har saans poori or nai.Mummy ne bachpan me sekhaya thha har saans ke sath bhagvaan ka naam lena hai.Koshish karti raho tum dekhogi koi power tumahre saath hai or tumhari sahayta kar rahi hai.Bhagvaan ke sabhi naam pavitra hain jo bhi pasand aaye usi ka jaap karo.Ram ka naam aasan laga vo hi jaap shuru kar diya.Kuchh din me pata chala ab jaap karna nahin padta ,ab ye to apne aap mun me chalna shuru ho gaya ,.achha laga ek kaam or kum ho gaya.Mun me ek rajkumaar bhi darshan deta rahta thha .Kuchh samay uske saathh guzarna bhi achha lagta thha sahi time paas ho raha thha.college jana,kuchh kaam ghar ka karna or kuchh time friends ke sathh.Kuchh din me ek nai ghatna ghati,ab ye mun kisi or ka jaap karne laga 'Anirudh'.Shayad Suhani ko Anirudh se pyar ho gaya thha ,lekin Anirudh ki aankhen koi or hi sunder chehrey ko dhoond rahi thhi isliye use disturb karna nahi chaha .Samey ane par Suhaani ki shaadi Ketan ke sathh ho gai.Kuchh achhi se ummeeden khatm hone lagi jab pata chala Suhani ko sirf istemaal kiya ja raha thha.Suhani ki khushi jaroorten sab bemaani thhi Ketan ke liye.Ghutan honey lagi is rishtey se .Socha bachha jo unke jeevan me aane vala hai shayad vohi koi khushi or ummeed le kar aayega Suhani ke jeevan me.Vo aaya nahi aai mere jeevan me khushi ke saath saath ek kartvya bhi lai -Use bada karna or use khushian dena .Ketan apne jeevan me busy thha use dunia jeetni thhi ,Suhani or uski beti ko khushian batorni thhi.Independent banene ke liye bahut sari mehnat karni thhi our khush bhi rehna thha.Ketan se Suhani ko koi ummeed nahi thhi. Ab sapno me jo rajkumar thha use naam bhi mil gaya thha 'Aniruddh',.aatma phir se use yaad karke apna samay guzaar rahi thhi,shareer ko kaam karne se hi phursat nahi thhi.
Tuesday, 2 January 2018
Life is a struggle.
Do you want to win this war in mind and heart?
Start cleaning your heart and brain if they are filled with
Kam ,krodh ,lobh,moh ,ahankaar.
It means you are suppose to take out lust ,wishes ,greed,arrogance,anger from your brains.
On the way you will find yourself.
Your self is a small part of param pita parmatma (god)
It is a very tough.
If you have guts then you can take this challenge .
It is the biggest degree to know your self.
Otherwise keep on solving small problems and keep on winning small fights .