Shri Krishn ne gita me gyan daan kia.Gyan daan se hi manushya samaj unnat ho sakta hai.Agyanta bhi kafi had tak manushya ke kasht ka karan hai.Chhoti umra me bachey rote hain khillone ke lie ,badi umr me rote hain paise ke lie ya job ke lie.Koi rota hai prem ke lie or koi rota hai samman ke lie.Is baat se samjhie ki kisi ko isliye maar dia jaata hai kyunki uske paas kaphi paisa tha ,jo paisa sukh prapt karne ke lie tha uski vajah se uski mrityu ho gai .To aisa to nahi kaha ja sakta ki paisa sukh hi dega.Keval bhagvaan ki kripa hi sukh de sakti hai or kisi vastu mai sukh dene ki shramta nahi hai .Bhagvaan ki kripa prapt kaise karen ...Gita me bhagvaan ki no prakar ki bhakti kahi hai ,sbse asaan hai unke koi bhi naam ka jap. chalte ,utthtey baittey jub bhi ban padey.
Wednesday, 10 October 2018
Saturday, 6 October 2018
Kahani-Tumhari khushi
To tum chahte ho tumhari khushi ke lie mai apna jeevan kurbaan kar doon. To tumhe lagta hai tumhari khushi hi jyada jaroori hai,kabhi tumhare parents ki khushi ,kabhi tumhare relatives ki khushi,kabhi tumhare friends ki khushi,or meri khushi ka kya?Bus bahut hua, ab mai sirf apni khushi ke bare me sochungi.Kya tum jante bhi ho mai dusron ko raji karte karte thak chuki hun."Sneha ,agar shadi par jaana jaroori nahi hota to mai nahi kahta" Mayank ne samjhaya.
Sneha -"Jana jaroori hai to jao ,koi bahana bana dena mere bare mei."
Mayank-"Social service samajh kar hi chalo at least."
Sneha-"Social service apni marzi se ki jati hai, dusron ki marzi se nahi".Mayank-"Mai bhi kahan jana chahta hun,bus isliye jata hun ki hamari beti shadi mei koun aaega agar hum nahi jayege to."
Sneha -" Kal kisne dekha hai,Kal ke lie aaj ko kharab karna ,mujhey samjh nahi aata."
Mayank-"Aaj me jio,mai khud hi kahta to hoo lekin mera dhyan kal me hi
rahta hai.Kash meri soch bhi tumhare jaisi hoti".
Sneha-"Bade aaram se bol rahe ho, tumhe gussa nahi aaya ,hamesha ki tarah."
Mayank-"Tumeh naraz karke mai bhi khush to at least nahi rah pata"
Sneha-"Mai tumhe ek buri aatma samajhne lagi thi."
Mayank-"Vo to kher mai hun,mujhey lagta bahut taklif di hai tumhen ab tumhe tumhare hak ki khushi dena chahta hun.Mai Meenal se shadi karna chahta hun.Mujhey abhi jeevan se bahut kuchh chahiy."